Aurton Ki Namaz عورتوں کی نماز

by Pak Appz


Education

free



Auraton (Females ya Khawateen) Ki Namaz Ka Tareeka / Tarika - Step by Step Ye 2 Rakat Namaz e Fajar...

Read more

Auraton (Females ya Khawateen) Ki Namaz Ka Tareeka / Tarika - Step by Step Ye 2 Rakat Namaz e Fajar Auraton (Aurato, Females ya Khawateen) Ki Namaza Ka Tareeka / Tarika - Step by Step bataya ja raha ha. Bawuzu ho k saaf jagah pe Jaa e Namaz (Musalla) bichaein. 1. Sab se pehlay 2 Rakat Namaz e Fajar ki niyat karein. Or jis be namaz ka waqt ho us k mutabik Niyat karein. 2. Allah-o-Akbar (Takbeer e Tahreema) keh kar apnay dono haath Apnay kaandhon (Shoulders) tak uthain. Phir dono haathon ko apnay seenay (Chest) par baandh lain. Haath is tareekay se bandhein k Baayan haath (Left Hand) neechay or Daayan haath (Right Hand) upar aey. 3. SANAA parhain - "SUBHANAKA ALLAHUMMA WA BIHAMDIKA WA TABARAKASMUKA WA TA’ALA JADDUKA WA LA ILAHA GHAIRUK" 4. TAAWUZ parhain - "AOUDHU BILLAHI MINASHAITANIR RAJEEM" 5. TASMIYAH parhain - "BISM-ILLAH HIR RAHMAN IR RAHIM" 6. Surah Fateha parhain. AL HAMDU LILLAHE RABBIL AALAMEEN AR-RAHMAN IR RAHEEM, MALIKE YAWMIDEEN IYYAAKA NAABUDO WA IYYAAKA NASTAEEN EHDENAS SIRAATAL MUSTAQEEM SIRAATAL LAZEENA ANAAMTA ALAYHIM GHAIRIL MAGHDHOOBE ALAYHIM WA LADH-DHWAALLEEN AMEEN 7. Phir Quran Paak ki koi si Surah ya Ayaat parhain 8. Phir Allah-o-Akbar keh k rukoo main jana hai. Apnay dono haath apnay ghutno per rakh k ye tasbeeh parhein (3, 5 ya 7 martaba) "SUBNANA RABBIYAL AZEEM" 9. Us ka baad TASMEE yani ye alfaaz kahein. "SAMI ALLAHU LIMAN HAMIDAH" 10. Phir seedhi khari ho kar, haath dheelay chor k khari ho jaein or ye Alfaaz adaa karein. "RABBANA LAKAL HAMD" 11. Phir Allah-o-Akbar kehty huey Sajday main jaein. 12. Sajda main jate howa zameen per pehlay ghutnay rakhein, phir haath rakhein, phir dono hathon k darmayan is tarha chehra rakhein k pehlay naak or phir matha zameen per aey or hath is tarah rakhe keh ungliyaan Qibla rukh ho. Paon khare nahi rakhein, Sajda karty huey paon sedhi taraf nikaal dein. 13. Sajda main ye Tasbeeh parhein - "SUBHANA RABBIYAL A’ALA" (3, 5 ya 7 martaba) 14. Phir Allah-o-Akbar keh kar beth jaen or apnay dono pao seedhi side ki taraf nikal dein, dono hath apni raanon per is tarha rakhein ka ungliyan apas mein juri hui hon. 15. Phir dusra Sajda kareen or yahe tasbi parhein - "SUBHANA RABBIYAL A’ALA" (3, 5 ya 7 martaba) 16. Phir Allah-o-Akbar kehti hui seedha khari ho jaen. Phir dusri rakat k liye Step 4 se Step 15 tak repeat karein. Jab dusra Sajda karnay k baad baith jaen or TASHHUD parhein.AT-TAHIYYATU LILLAHI WASSALWAATU WAT-TAYYIBATU AS-SALAMU ALAIKA AYYUHAN NABIYYU WA RAHMATULLAHI WA BARAAKAATUUH ASSALAMU ALAINA WA ALA IBADILLAHIS SALIHEEN ASH-HADU AN LA ILAHA ILLALAHU WA ASH-HADU ANNA MUHAMMADAN ABDUHU WA RASOOLUHTASHHUD partey huey jab Ashhadu An La Ilaah per pohnchay to Seedhay hath ki Shahadat ki ungli ko chor kar baki baaki haath ko MUKKA (Punch) ki tarah band kar lein Shahdadat ki ungli ko thori dair k liya uthaein. Jesy hi MUHAMMADAN ABDO HU WA RASULOH parhein ungli nechay kr ungliyaan seedhi kar dein.17. Phir DUROOD-E-IBRAAHEEMI parhein.ALLAHUMMA SALLI ALA MUHAMMADIN WA ALA AALI MUHAAMADIN KAAMA SALLAITA ALA IBRAHIMA WA ALA AALI IBRAHIMA INNAKA HAMEEDUN MAJEED.ALLAHUMMA BAARIK ALA MUHAMMADIN WA ALA AALI MUHAAMADIN KAAMA BARAKTA ALA IBRHIMA WA AALA AALI IBRAHIMA INNAKA HAMEEDUN MAJEED.18. Phir kohi dua pareen jo Quran or hadees main ho.RABBI JALNI MUQI MASAALATA WA MIN DHUIRIYATI RABBANA WA TAQABUL DUA RABBANAGH FARLI WALIWALIDAIYA WA LIL MUMINNENA YAWMA YAQUMAL HISAAB19. Is k baad seedhay kandhay (Shoulder) ki taraf mu kar parhein - ASSALAMU ALAIKUM WA RAHMATULLAH20. Phir ultay kandhay (Shoulder) ki taraf mu kar parhein - ASSALAMU ALAIKUM WA RAHMATULLAHWomen prayers in the light of HadeesThis article shall be based on overwhelming ahadith which establish from Prophet (Peace be upon him), Sahaba, Tabiyeen and great Fuqaha that prayer of woman is different in many ways from prayer of man.